Aa'een e Aashiya
By Iram Khan
Zindagi ka safar
Zindagi ka safar
Zindagi ka safar tay hota raha tanha tanha,
koi raat bhar jala ke dil rota raha tanha tanha.
Chhat pe roz chand ko jo dekha maine,
ashkon se dhula rehta hai chehra uska tanha tanha.
Ek roz chaand ki chaandni lipat kar mujhse kehne lagi,
zamaane mein ek tu hi nahin diljala tanha banha.
Yeh sard aahen yeh shor se awaaz kiski thi,
yeh kaun bechainiyon mein raat hadakta raha tanha-tanha.
Jo chala gaya hai badh kar choom lu uske nishaan kadam
ho gayi khushk zameen bhi koi bhatakhta raha tanha-tanha.
Koi bechain hai kiraake gham mein kisi ke.
Badhake haath jo rok liya aashk haathon pe.
Kehne laga wo mil gaya mujhe dard ka sila tanha tanha.
Chand udasiyan liye kho gaya kisi viraane mein
roz jaate dekhta hai ek ab ka tukda tanha-tanha.
Saari zindagi mein sochte rahe hum tashngi liye,
kyun pyala nahin chhalakta mere liye tanha-tanha.
Syed Aashiya Khatoon
Comments π¬
Login to post comments
No comments yet. Be the first to comment!