Aa'een e Aashiya

By Iram Khan


Hindostaan humara


Hindostaan hamara

Yah sar zameen hai apni, aur aasmaan hamara  

Har teenon par likha, hindostaan hamara  

Bhavishya ke ujaalon, seekho aage badhna  

Himalaya hai sarhad ka, har navjawan hamara  

Rana ki guja'at Chittor ke hain kisse  

Hausle par saja hai aashiyaan hamara  

Haathon mein degreein, paanv mein chaale

Inki udaasiyan hai, imtihan hamara  

Har yug ke shekhar, bhagat yahi vatan ke  

Inke lahoo se zinda hai, gulistaan hamara


Syed Aashiya Khatoon



Comments πŸ’¬

Login to post comments

No comments yet. Be the first to comment!