Aa'een e Aashiya

By Iram Khan


Chand Shabd


Chand shabd

Sanvarti ujadti bastiyan  

Yahi jeevan ki hai kahaniyan  

Har taraf dhunwa dhunwa, chal rahi aandhiyan  

Ehsaas ki kasauti mein kabhi to mujhe,  

taul do,  

Ho sake to pyaar ke chand shabd bol do.  

Weh soona soona hai, gagan  

Tu chaand taaron mein magan  

Geeton mein gunguna ke, kaanon mein ras ghol do  

Ho sake to pyaar ke chand shabd bol do  

Samay ke baav par kya, hriday ke rang bhi beh gaye,  

Shabdon ke darpan mein man ke panne khol do.  

Ho sake to pyaar ke chand shabd bol do.  


Syed Aashiya Khatoon



Comments πŸ’¬

Login to post comments

No comments yet. Be the first to comment!