Aa'een e Aashiya
By Iram Khan
Wajood
Wajood
Aag se aurat ka rishta purana hai.
Kabhi Sita ne nibhaaya, ab Geeta ko nibhaana hai.
Hasad ki shikar hoti rahi hamesha
Aawaaz-e-bagawat nahi yeh haqeeqat ka tarana hai
Saas ne hi ghar laakar bahu ko jala diya
Afsos dard se hi, dard ka fasana hai
Dharti bhi nahi iska aakaash bhi nahi hai
To tum hi kaho naari ka, kis or thikaana hai
Har roz beh rahe hain khoon ke aansu
Kya samaaj mein aurat ka, marghat hi banana hai
Khushbu banke phoolon ka, zakhm na diijye
Aurat nahi kamzor yeh, samay ko dikhana hai
kyun chot ban gayi, wajood hi apni
Taane faza mein hai, hans raha zamana hai
Ham jo chahein rookh hawaon ke mod de.
Bharat ki taakat humein duniya ko dikhana hai
Syed Aashiya Khatoon
Comments π¬
Login to post comments
No comments yet. Be the first to comment!