Aa'een e Aashiya
By Iram Khan
Ghazal: Kaagaz ki kashti par
Kaagaz ki kashti par, harf-e-baadbaan kuch aur hai
Chaand taare to hain wahi, aasmaan kuch aur hai
Ab nahin hota vah, sacchai ki faryad mein
Zikre zubaan to hai wahi, tarjein bayan kuch aur hai
Phir wahi taak par, gudiyon ke vah sajne lage
Muntajir palkon ki, shamiyaan kuch aur hain
Pherte hi ret par ungaliyaan jo ban gayin
Us hasi'in tasvir ki, ab daastaan kuch aur hai
Hum the patthar ke nishaan, tum mahal ek taash ke
Ab jhonke mein mahz, shargeshiyan kuch aur hai
Pankh kutar daale jinke saiyyadon ne milkar
Aise parindon ki ab aaho fungaan kuch aur hai
Hum to tanhai ke jhund mein aaj bhi aabaad hain
Tum lafz-e-parwaz ki raaz-e-fishaan kuch aur hai
Koi jarf-e-mohabbat ki ab tohamat nahin mujh par
Aahe jaari aur, sitam giran kuch aur hai
Bhalaai ke iraadon par hote hain jahan maatam
"Aashiyan" us rang ki teer-o-kamaan kuch aur hai.
Syed Aashiya Khatoon
Comments π¬
Login to post comments
No comments yet. Be the first to comment!