Aa'een e Aashiya
By Iram Khan
Mamta ki chhaaon mein
Mamta ki chhaaon mein
Chadhati hai parwaan muraadon ki, inhi mamta ki chhaaon mein.
Palkar hue kitne hi sikandar, inhi mamta ki chhaaon mein.
Patko chahe sar kisi dargah kisi bhi dar par.
Banenge tere muqaddar, inhi mamta ki chhaaon mein.
Shehenshah to ho gaya, fir bhi gareeb hai.
Jab tak na jhuken sar, inhi mamta ki chhaon mein.
Har sheh hui teyjaarat, har zubaan badal gayi.
Na badla prem ka sagar, inhi mamta ki chhaabon mein.
Wali, nabi, avatar aur khuda ki khudai.
Milenge tum ko yahein par inhi mamta ki chhaabon mein.
Syed Aashiya Khatoon
Comments π¬
Login to post comments
No comments yet. Be the first to comment!