Aa'een e Aashiya
By Iram Khan
Gulaabon ki Chaman
Gulaabon ki chaman
Dharti teri soneki. Soneka aasmaan hai.
Subho suhani tu. Shaame shaadman hai.
Yeh siyahi ke rekhaon mein gyaan ke jhagde,
Ae Bharat teri pehchaan, muhabbat ki zubaan hai
Lab tere kashmir, muskaan zaafraani.
Jabon mein khushboo teri, jannat ki gumaaan hai.
Kahti hain sar uthake, Himalaya ki chotiyaan.
Tu paigaame aman bhi, inqalabi kaarwaan hai
Bajaati chalein havaayein, sosantr ki bansiyaan
Gulaabon ki chaman tu, rangeen gulistaan hai.
Chamakili chadar dhoop ki suraj tujhe odhaaye.
Aisi misaal bhagti duniyaan mein kahaan hai.
Fazaaon mein rahe tere, bhar pur zindagi
Yahi premgeet gati dariya khandan hai.
Syed Aashiya Khatoon
Comments π¬
Login to post comments
No comments yet. Be the first to comment!