Aa'een e Aashiya
By Iram Khan
Mashaal ekta ko jalaao
Mashaal ekta ko jalaao
Deewar nafraton ko giraane ki zaroorat hai.
Sandesh prem ki sunaane ki zaroorat hai
Sheikh Braahman hai Joseph Kartaar bahut.
Insaan se insaan ko jagane ki zaroorat hai
Dekho subah ka lakshya kya awaaz de raha hai.
Bikhre huye haalat sajane ki zaroorat hai
Dekho sulag rahi hai duniya ki tirchi nazrein.
Ab apne haar ki aag bujhaane ki zaroorat hai
Is dharti pe-ae-khizaan, hai tera kaam kya.
Pag-pag par phool khilaane ki zaroorat hai
Aa bhi jaao baapu tumhein mulke Hind pukaare.
Tere jaise gyaani ke aane ki zaroorat hai
Aman ke dhaagon se dilon ko jod kar.
Mashaal ekta ki jalaane ki zaroorat hai.
Syed Aashiya Khatoon
Comments π¬
Login to post comments
No comments yet. Be the first to comment!