Aa'een e Aashiya
By Iram Khan
Salaam e aqeedat
Salaam e aqeedat
Watan pe marne walon, tumhein salaam-e-aqeedat.
Tum hi wafa ke markaz, anjaame aqeedat.
Charaaghon mein daal kar, lahoo kiya tumne ujala
Sikhlai humein karni, yeh ehteraam-e-aqeedat.
Kisi koplon pe hona, zarbe sitam yahaan
Likh do aasman pe yeh paigaam-e-aqeedat.
Rakhna bichayein har dam, nazron ki chadarain
Deemak na chaat khaye, yeh naam-e aqeedat.
Ho zindagi ka maksad, bas desh ke liye
Utha lo jo raas aaye, jaage aqeedat.
Hukoomat kahaan chalti, jazbon pe, ae naadaan.
Mar kar bhi yahaan paate hain, inaam-e-aqeedat.
Syed Aashiya Khatoon
Comments π¬
Login to post comments
No comments yet. Be the first to comment!