Aa'een e Aashiya

By Iram Khan


Takon ka lob


Takon ka lob

Poochhe ithlaai mausam kaisi rachnaakari hai  

Shole uglay khud par, kaisi yeh bimari hai.  

Sweekare yeh jurm apna aur farishta kehlaaye  

Itna mat gir insaan, insaaniyat khud mein sharmaaye  

Tandav macha hai, shabdon ka toote samay ki arthii par  

Sahmi sahmi izzat, simat rahi hai dharti par  

Takon ke lob ka vyapaari log aisa hi hota hai  

Rishwat ki buniyaadon par apna imaan khota hai  

Kitni sasti fitrat inki bikti hai choubaaron par  

Satya ahimsa chuni gayi, aaj daron deewaron par  

Rut kya badla badal gaye samay ke behte dhaaron par  

Vish halaahal ugle chaandi ki deewaron par  

Jhooth ke khol mein chhup kar so raha har aadmi  

Jeeta nahi hai koi, jeevan dho raha har aadmi  

Jab jab tach sokraat bani dekho jahar ka pyala hai  

Duniya ka dastoor yahi, yahi to reet niraala hai.


Syed Aashiya Khatoon



Comments πŸ’¬

Login to post comments

No comments yet. Be the first to comment!