Aa'een e Aashiya
By Iram Khan
Khushboo
Khushboo
Tum bhi badal na jana mausam badal raha hai.
Kuch tum bhi gungunana mausam badal raha hai.
Kisne kaha yeh mujhse, woh to gulab sa hai
Rang hai bada sohana mausam badal raha hai.
Pal bhar ki zindagi aao haseen bana lein
Kehta hai dil diwana mausam badal raha hai.
Sanson ki khushboo teri har dam yaad aaye
Mausam ka kya thikana mausam badal raha hai.
Chaman ki har kali mein kyun aaj bekali hai
Gulshan mein tum na jana mausam badal raha hai.
Tanhai mein mohabbat leti hai angdai
Hai zalim bada zamana mausam badal raha hai.
Syed Aashiya Khatoon
Comments π¬
Login to post comments
No comments yet. Be the first to comment!