Aa'een e Aashiya
By Iram Khan
Sapne
Sapne
Apne man ke aangan mein tumhe, bithakar.
Khayalon ke darpan se nihara karun.
Aakash pe chaayi shaam ki laali mein tumhe dekh pukara karun.
Doodh si tiki chandani mein tum aankhein band kar lo
Main ungli ke poron se zulf tumhari sawaara karun.
Main umar ki dhadkan waqt ki thaali se sajakar usi mein
Duaon ki jot jala kar teri aarti utaara karun.
Silwatain raat ki thahar ja - thahar ja le ja sapne sunehre
Wahi palkon pe saja de uske gham ko chura le
Main apni khushi us pe vaara karun.
Syed Aashiya Khatoon
Comments π¬
Login to post comments
No comments yet. Be the first to comment!