Aa'een e Aashiya
By Iram Khan
Gulaab
Gulaab
Chehre pe sajakar mausame gulaab yah mat bhoolo
Usi shaakh par kaante bhi hua karte hain.
Karo salaam, naman ya adab yah bhi kam hoga
Choomo wah kadam jo raahen usoolon par chala karte hain.
Range mausam ka saaqi wahi hota hai
Jo haqeeqat ke pyaalon se piya karte hain.
Saleeb bhi jhukti hai aise maseehaon ke liye
Jo mareeze gham ki dawa karte hain.
Kar lo tum band aankhen un kitaabon ki tarah
Jahaan nafrat ke Hitler hi basa karte hain.
Phir bhi naseehat hai, aashiya ki zamane ko
Khuda usi ka hai jo auron ka bhala karte hain.
Syed Aashiya Khatoon
Comments π¬
Login to post comments
No comments yet. Be the first to comment!