Aa'een e Aashiya
By Iram Khan
Main Hindostaan hoon!
Main Hindostaan hoon!
Kalash mandiron ki sadaayein azaan hoon.
Main Hindostaan hoon, main Hindostaan hoon.
Phool patthar pe bhi, khilte aksar hai yahaan,
Woh misle sar zameen, naayaab gulistaan hoon.
Main Hindostaan hoon, main Hindostaan hoon
Boi gayi jismein, sar aashiqi ki
Main woh jazba-e-ishq ki daastaan hoon.
Main Hindostaan hoon, main Hindostaan hoon
Mat bahaao taj-e-sitam ki, sard siyahi,
Hijab-e-harf tahzeeb ki bayan hoon.
Main Hindostaan hoon, main Hindostaan hoon.
Sahlaaye mere saron ko sooraj ki pehli dhoop,
Daure ravish woh ailane kamraan hoon.
Main Hindostaan hoon, main Hindostaan hoon.
Dhaara magar waqt ki palkon pe hoon ruki,
Nadi, saagar, kabhi dariya ki khaan hai.
Lipti mujh mein, ajmatein wali, sant, guru, gyaan ki,
Takhleeke daanai ki woh, jalwa numan hoon.
Main Hindostaan hoon, main Hindostaan hoon.
Lauti hai takrakar sitam ki aandhiyaan,
Main woh sakht jaan, daure, imtihaan hoon.
Main Hindostaan hoon, main Hindostaan hoon.
Syed Aashiya Khatoon
Comments π¬
Login to post comments
No comments yet. Be the first to comment!