Aa'een e Aashiya

By Iram Khan


Dair-o-Haram


Dair-o-Haram

Bark hui hai kyon shabnam, aaiye sochein zara,  

Shehnai pe dahej ka maatham, aaiye sochein zara  

Itarati fuddak rahi hai, azaadiye bulbul  

Toh phir hai kyon, aankhein num, aaiye sochein zara  

Mitti to mitti phool, patthar pe khilte hain yahaan  

Taraash kar ek but sanam, aaiye sochein zara  

Dawa hai chaand taare, zameen par utaar laaye  

Toh phir kyon roshni maddam, aaiye sochein zara  

Fazool ki baaton ka, parwah kyon hum karein  

Kya hai yeh dair-o-haram, aaiye sochein zara  

Patte ude havaon ke daaman bhar gaye  

Nikle kyon na kitaabon se, pyar ka mausam  

Aaiye sochein zara.


Syed Aashiya Khatoon



Comments πŸ’¬

Login to post comments

No comments yet. Be the first to comment!