Khat
By Khan Hifza sajid
Pyari Bahena
Pyari Bahena
Tum woh sitara ho
Jisse roshan hain meri galiyan.
Tum ho toh
Sukoon se khilti hain kaliyan.
Tum bahen bhi,
Tum dost bhi,
Tum raazdaar bhi,
Tum ustad bhi.
Kabhi maa ki tarah daanta,
Kabhi bahen ban gale lagaya,
Kabhi dost ban chheda.
Tum zindagi mein
Meri dhaal bhi.
Yeh duniya se kya lena,
Tum meri duniya bhi.
Main aur tum parchhaiyan hain
Ek duje ki.
Waalidain ek,
Sarmaya hain hum
Ek duje ke.
Bahena,
Tum kya ho, yeh bayaan kar nahi sakti.
Tum dil ka tukda nahi,
Dil mein basti ho.
Comments 💬
Login to post comments
No comments yet. Be the first to comment!