Khat
By Khan Hifza sajid
Pyari Mumma
Pyari mumma,
Aap bhi insaan ho,
Ye aap kyu bhool jati ho.
Sab ka khayaal karte hue,
Khud ko kyu peeche chodh jati ho.
Sabka sarmaya banti ho,
Aap bhi toh kisi ko khudka banne do.
Aapse bhi galatiya ho sakti hai,
Aap bashar ho,
Khata ka putlla,
Aap khud ko har baat ka kusurwaar samjha na karo.
Mumma aap jo kar Rahi ho,
Woh har koi nahi karta.
Aap maa ho,
Janna t ko aapke pairo tale rakhi gayi hai.
Khud ko aam samjhna nahi.
Aap insaan ho par ye bhoolna nahi.
Aap thakna,
Toh baith jana.
Kabhi kuch sahi na kar pao,
Toh na jhinjhalana,
Bus har baar khud ko gale lagana.
Comments 💬
Login to post comments
No comments yet. Be the first to comment!