Maktoob
By Khan Hifza sajid
Tasawwur
Phone ki ghanti se Aashir haal ki duniya mein wapas aaya.
Spam call tha, toh usne kaat diya.
Usne gehri saans li. Phir woh washroom mein fresh hone chala gaya.
Jab woh room se nikla, toh nashta pehle hi table par laga hua tha.
Uski nazar kitchen se aati Noor par padi, jisne peele rang ka salwar kameez zeb-e-tan kiya hua tha.
Wahi dheeli chotiyan.
Woh dono table par baith gaye.
Bahut hi khamoshi se nashta kiya gaya.
Par aaj is khamoshi se Aashir ko koft ho rahi thi.
Usne ek nazar Noor par daali.
Jo uske andar ke toofaan se bahut laparwah thi.
Nashta khatam karke yun toh woh andar chala jaya karta tha, par aaj woh sofe par baith gaya.
TV on kiya.
Noor bhi kamre mein nahi gayi thi.
Woh saamne wale sofe par dono haath seene par baandhe baithi thi.
Aashir ne uski taraf dekha.
Jo use hi dekh rahi thi.
Noor ne uske dekhne par bhi nazron ka rukh nahi phera.
Woh hairan hua.
Uski nazrein yeh saaf bawar kara rahi thi ke woh use gusse mein ghoor rahi hai.
Usne TV band kiya.
Phir uski taraf mutawajja hua.
"Aap kuch kehna chahti hain?" Usne khamoshi ka qufl toda.
"Aapne inkaar kyun kiya?" Noor ne sawaal poocha. Lehje mein gusse ki jhalak saaf dikh rahi thi.
Woh use dekhta raha.
Usne apne dono haath ek doosre mein piro liye.
"Kyunki main aapko talaq nahi dena chahta."
"Yahi toh pooch rahi hoon. Kyun?" Woh bhadki.
Woh uske is lehje se hairan hua.
"Kyunki Dadu yeh seh nahi payenge." Usne jawaban kaha.
Noor ka toh maano sir ghoom gaya.
Woh seedhi hui.
"Aapka dimaag kharab hai!" Woh ruki.
"Dadu nahi seh payenge, matlab main yeh khokhla rishta nibhaun?" Woh phat padi.
Aashir ne use kadhi nazron se dekha.
Usne gehri saas li.
"Noor-ul-Ain, aapko Dadu ki bilkul fikr nahi hai." Woh aahista se goya hua.
Noor ne chubhti nazron se use dekha.
"Baat fikr ki nahi hai. Nanu bachche nahi hain. Unhe hum dono samjhayenge, samajh jayenge." Usne apni baat rakhi.
Woh seedha dekh raha tha betasur.
"Aap talaq par itni ba-zid kyun hain?"
Usne thak kar poocha.
"Kyunki main aapke saath rehna nahi chahti."
Saada sa jawaab.
Woh Noor ki taraf mudha.
Par Aashir ko is tarah uski zaat ki nafi ki aadat nahi thi.
Usne itna seedha inkaar nahi socha tha.
Woh kuch bol nahi paaya.
Agar use kisi se mohabbat hoti, toh woh us shakhs se is tarah talaq na maangta.
Bas sir ko jumbish di.
*******
Woh apne kamre mein baitha tha, is soch mein ki talaq ke mutalliq ghar walon ko kaise raazi karna hai.
Use Dadu ki fikr khaye ja rahi thi.
Tabhi darwaze par dastak hui.
Aur Noor andar aayi.
Woh hairaan hua.
Usne apna phone uske aage kar diya.
Phone ko kaan par lagate hi use Zahima ki awaaz sunai di.
"Sahab, bahut busy rehte hain aap. Kitni der se phone busy ja raha hai. Agar aapke paas waqt ho toh apni is maa ki baat sun lijiye." Zahima ne tanz kiya.
Woh muskuraya.
"Amma, farmaiye."
Noor use dekh rahi thi.
Usne bahut din baad aisi muskaan uske chehre par dekhi thi.
Kitna achha lagta tha woh muskurate hue.
Usne socha.
Phir use yaad aaya.
Woh isi achhe aadmi se talaq ka mutaalba kar chuki hai.
Achha lage ya bura, uski bala se.
Usne naak sikodhi.
"Ammar ki date pakki karne aa rahe hain. Main bata rahi hoon, tum aur Noor waqt par aa jana.
Noor se meri baat ho gayi hai. Tum bas waqt se aa jana aaj."
Noor ke zikr par usne uski taraf dekha, jo ajeeb-ajeeb chehre bana rahi thi.
Use hansi aa gayi.
Haal-ahwaal ke baad usne phone Noor ki taraf badha diya.
Usne bina kuch kahe phone le liya.
Woh baat kar rahi thi, tabhi
"Kab tak chalna hai?" Woh Noor se mukhatib tha.
Noor ne fauran mud kar use dekha.
Woh usse pooch raha tha.
Use hairat hui.
Usne apna dupatte ka sirah pakda.
"Ek ghante mein."
Usne mukhtasar jawab diya.
"Ji."
Usne sar ko kham kar diya.
Takreeban ek ghante baad Noor neeli saari mein malboos thi.
Baalon mein do safed gulaab lage the.
Aankhen kajal se nikhri hui thin.
Hothon par nude lipstick saji thi.
Uski saas ka hukm tha ke nayi dulhan lagna hai.
Aur woh sahi maaynon mein nayi dulhan hi lag rahi thi.
Darwaze par dastak hui.
"Aap tayyar hain toh aa jaiye."
Aashir ki awaaz thi.
Uska saree ko theek karta haath ruka.
" Ji."
Noor-ul-Ain ne ek baar khud ko sheeshe mein dekha.
Woh khoobsurat lag rahi thi.
Bala ki.
Par use Aashir ko qaayil nahi karna tha.
Na hi uski tareef chahiye thi.
Woh bahar nikli toh uski nazar saamne khade Aashir par padi, jo phone par kuch keh raha tha.
Uske qadmon ki chaap sun kar Aashir mudha.
Use dekhte hi uske munh se beikhtiyaar,
"MashaAllah," nikla.
Par Noor sun nahi saki.
Woh dono car mein the.
Jab Aashir ne kanakhiyon se uska jaiza liya.
Kuch bhi ho...
Khoobsurti mein toh Noor-ul-Ain waqai Noor thi.
Uske mann ne kaha.
Usne turant apna sir jhatka.
Kya soch raha hai woh?
Woh tayyar thi, magar uski saari tawajjo khud par thi, us par nahi.
Noor-ul-Ain ko Aashir se jaise koi sarokar hi nahi tha.
Usne dil hi dil mein aitiraf kiya.
Ye ladki bahut pur-aihtimad hai.
Phir use yaad aaya.
Mohtarma ne subah kitni saafgoi se use yeh bawar karaya tha ke woh uske saath nahi rehna chahti.
Par pata nahi kyun... woh use talaq nahi dena chahta tha.
Shayad yeh rishte ki pakeezgi ka taqaza tha.
Woh dono Malik Villa pahuche.
Andar jaate hi Zahima Begum ne aage badh kar Noor ko gale se laga liya.
"Kitni khoobsurat lag rahi hai meri beti." Unhone uska maatha choomte hue kaha.
"Aap bhi kam thodi na lag rahi hain, Maani." Noor ne unhe chheda.
Zahima Begum khul kar hans padi.
Aashir bhale hi Dadu ke paas baitha tha, magar uski nazar baar-baar Noor aur apni Ammi ke darmiyan ki be-takallufi par ja rahi thi.
Yeh mohtarma mazaaq bhi karti hain...
Usne dil hi dil mein socha.
Woh Nanu se mili.
Aashir ko nazarandaaz karte hue.
Haal-o-ahwaal ke baad woh Maani ke saath tayyari mein lag gayi.
Saari tayyari ke baad woh sab hall mein baithe the.
Tabhi Ammar ki aamad hui.
"Bhabhi jaan, Assalamualaikum."
Ammar Noor se mukhatib tha.
"Wa Alaikum Assalam, hone wale dulhe miyaan."
Usne bhi usi andaaz mein jawab diya.
"Aap jaise bade log hamare liye aaye hain. Shukriya, shukriya."
Usne kaha.
Noor thithki.
Woh jaanti thi yeh tanz tha.
Aashir ne baghair use dekhe sab sun liya.
Ammar aur Noor hamesha achhe dost rahe the.
Par Aashir se shaadi ke baad woh usse bhi khinchi-khinchi rehti thi.
Noor ko apne rawaiye ka ehsaas hua.
Usne apna nichla lab kaata.
"Kyun nahi aati? Cousin ho meri, aur sabse achhi dost bhi."
Usne sambhal kar kaha.
Ammar ne use aise dekha jaise use ab yaad aaya ho.
Usne miskeen si shakal bana li.
Ammar ne sar jhatak diya.
Aashir sab dekh raha tha.
Woh phir hairaan hua.
Noor ka lehja dekh kar.
Tabhi Ammar ke sasural walon ki aamad hui.
Aur date bhi pakki ho gayi.
Maani jaan ne dinner table par apni khwahish ka izhaar kiya.
"Noor beta, kya Ammar ki shaadi tak tum yahan shift ho sakti ho?"
Lehja bahut pyaar bhara tha.
Noor, jo niwala munh mein daalne hi wali thi, ruk gayi.
Usne saamne baithe Aashir ko dekha, jo use hi dekh raha tha.
"Aashir ko kya dekh rahi ho? Use toh aana hi padega. Main tumhari marzi jaanna chahti hoon."
Zahima ne Aashir ki taraf dekhte hue kaha.
Aashir ko yaqeen tha Noor inkaar kar degi.
Use kahan logon ka dil rakhna aata tha.
Par jab Noor ne haami mein sar hila diya, is baar woh achha-khaasa hairaan hua.
Zahima ki khushi ka toh thikana hi nahi tha.
Aashir apni Ammi ko muskurata dekh mutmaeen hua.
Dadu Aashir ko hi dekh rahe the.
Unhone notice kiya tha ke jab se Aashir aaya hai, uski nazrein baat-baat par Noor par hi ja rahi hain.
Unke dil ko qarar aaya.
Shayad rishta badal raha tha.
Aashir aur Noor gaadi mein wapsi ka safar tay kar rahe the,
jab Aashir ne khamoshi ka qufl toda.
"Noor-ul-Ain,
kya hum talaq Ammar ki shaadi tak postpone kar sakte hain?"
Noor uski taraf mudhi.
Usne apna saree ka pallu seedha kiya.
"Ji."
Bas itna hi kaha.
Yeh itni bhi khudgarz nahi jitni main samajhta tha.
Uske mann ne kaha.
Pehli baar woh Noor-ul-Ain ko ek naye nazariye se dekh raha tha.
Use darr tha...
Yeh naya nazariya kya rang layega.
Comments 💬
Login to post comments
💬 "kya hum talaq Ammar ki shaadi tak postpone kar sakte hain?" 💬"
Mujhe laga hi tha ki shaadi k wajah se talaaq ki baatein aage nhi badhengi ..😁
💬 "Aashir ko yaqeen tha Noor inkaar kar degi. 💬"
Mujhe nhi lagta 😅
💬 ""Aap jaise bade log hamare liye aaye hain. Shukriya, shukriya." 💬"
🤭🤭
💬 "Yeh mohtarma mazaaq bhi karti hain... 💬"
Mohtarma k saath achche se pesh aate...usse baatein krte toh yeh mazaaq baatein aapke saath krti..
💬 "Shayad yeh rishte ki pakeezgi ka taqaza tha. 💬"
True..
💬 ""Kitni khoobsurat lag rahi hai meri beti." Unhone uska maatha choomte hue kaha. 💬"
😁😁😁
💬 "Par Noor sun nahi saki. 💬"
Ohh
💬 ""MashaAllah," nikla. 💬"
🤩🤩🤩
💬 "Woh khoobsurat lag rahi thi. 💬"
Ofcourse!! 😁
💬 "Baalon mein do safed gulaab lage the. 💬"
Wow!! Beautiful ❤️
💬 "Takreeban ek ghante baad Noor neeli saari mein malboos thi. 💬"
Wow!! I can imagine her 🤩🤩
💬 ""Sahab, bahut busy rehte hain aap. Kitni der se phone busy ja raha hai. Agar aapke paas waqt ho toh apni is maa ki baat sun lijiye." Zahima ne tanz ki..."
😁😁
💬 "Saada sa jawaab. 💬"
🤭🤭
💬 ""Baat fikr ki nahi hai. Nanu bachche nahi hain. Unhe hum dono samjhayenge, samajh jayenge." Usne apni baat rakhi. 💬"
Sahi kaha..
💬 ""Noor-ul-Ain, aapko Dadu ki bilkul fikr nahi hai." Woh aahista se goya hua. 💬"
Kuch bhi... fikr aap bhi kr lein thoda Aashir Miyan...
💬 ""Aap kuch kehna chahti hain?" Usne khamoshi ka qufl toda. 💬"
Itni khaamoshi mein bhi ek dusre se silence mein baat kr rhe hai dono...uff....lafzon ka istemaal kr liya karein aap dono 🤭🤭